Talaash (तलाश)

(I)

Dariyaa-e-ashq hai, shiddat-e-dard ki talaash hai

Sirat-e-mustaqeem hai, us nayaab soorat ki talaash hai

Soorat-e-gham na thi pehle is kadar lachaar

Dard hai fir bhi wajah ki talaash hai

Naksh ko apne tasawwur ki talaash hai..

(II)

Jaam-e-dard hai, tishnagi-e-mauj ki talaash hai

Mauj-e-bahaar hai, justajoo-e-musarrat ki talaash hai

Ise ittefaq kahun ya kahun taqdeer-e-umaam

Maikhana-e-ishq hai fir bhi diwanagi ki talaash hai

Naksh ko apne tasawwur ki talaash hai..

(III)

Muskurahatein hain, taqdeer-e-mustafa ki talaash hai

Umeed-e-sahar me, nazaara-e-firdaus ki talaash hai

Ise chal kahun ya kahun aayat-e-takhleeq

Adaa-e-beniaazi hai fir bhi haqeeqat-e-gham ki talaash hai

Naksh ko apne tasawwur ki talaash hai..

(IV)

Falsafa-e-zindagi hai, wajah-e-wajood ki talaash hai

Jannat-e-roohaniyat hai, gulistan-e-dil ki talaash hai

Bahaar-e-husn hai, khubsoorti-e-dil ki talaash hai

Saadgi-e-hasti hai fir bhi azaadi-e-afkar ki talaash hai

Naksh ko apne tasawwur ki talaash hai..

(V)

Dhadkan-e-dil hai, malkiat-e-dhadkan ki talaash hai

Ravangi-e-khoon hai, jasba-e-mohabbat ki talaash hai

Muskuraate chehre ko wajah-e-gham ki talaash hai

Marham to bahut hain magar zakhm-e-hayaat ki talaash hai

Naksh ko apne tasawwur ki talaash hai..

(VI)

Toofani lehron me kinare ki talaash hai

Beher-e-dil me doobne vale ki talaash hai

Ajab hai takhleeq khaaliq-e-arz-o-samaa ki

Hujum-e-duniya me bhi tanhaiyon ki talaash hai

Naksh ko apne tasawwur ki talaash hai..

(VII)

Paimaana-e-masti me doobe hue kehahkon ki talaash hai

Daaman-e-zindagi me chipi khushiyon ki talaash hai

Aatish-e-gul se jagmaga uthe ye kehkashan

Usi jalwa-e-janana ki talaash hai

Naksh ko apne tasawwur ki talaash hai..

(VIII)

Sukoon-e-rooh jiska gham-e-dil se

Rooh ki khushi dariyaa-e-dard me jiski

Jeene vale to bahut hain magar

Is tarah marne vaale ki talaash hai

Naksh ko apne tasawwur ki talaash hai..

(IX)

Parda-e-ghaib hai, mohabbat-e-beparda ki talaash hai

Guzre hue lamho me jiye hue lamho ki talaash hai

Bedard waqt hai, waqt tham jaane ki talaash hai

Katl-e-rooh se pehle, fajr-e-mohabbat ki talaash hai

Naksh ko apne tasawwur ki talaash hai..

(X)

Dariyaa-e-ishq hai, jamaal-e-yaar ki talaash hai

Safar hai, ek hamsafar ki talaash hai

Mehfil-e-soz ho jis zakhm-e-dil se roshan

Us ehsaas-e-dard ki talaash hai

Naksh ko apne tasawwur ki talaash hai..

(XI)

Mehka hai har zarra-e-qainaat jis fiza-e-noor se

Bheega hai haal-e-dil jis ishq ki boond se

Samandar ko us boond ki talaash hai

Samandar khud boond me samaaye

Aise naa-mumkin manzar ki talaash hai

Naksh ko apne tasawwur ki talaash hai..

(XII)

Manzil hai, haseen safar ki talaash hai

Sureeli dhun hai, saaz-e-dil ki talaash hai

Rootba-e-zindagi bahut hai magar dilkash nazaro ki talaash hai

Fareb-e-nazar ke us par chipe sach ki talaash hai

Do to pehle bhi the magar ab ek hone ki talaash hai

Naksh ko apne tasawwur ki talaash hai..

(XIII)

Alfaaz-e-ehsaas hai, ehsaas-e-alfaaz ki talaash hai

Hai alfaaz jaam-e-ehsaas me is kadar madhosh

Ke alfaaz khud ek ehsaas hai

Dariyaa-e-alfaaz-e-ehsaas me

Sukoon-e-dil ho hasil jis se

Ehsaas me doobe hue us alfaaz ki talaash hai

Naksh ko apne tasawwur ki talaash hai..

(XIV)

Ehsaas-e-dhadkan hai, talaash dhadkan-e-khuda ki hai

Alfaaz jo na kar sakein bayan, talaash us rehnuma ki hai

Ho shuruat jiski sahil-e-samandar se, talaash us khubsoorat safar ki hai

Jo na hua muqammal aaj tak, talaash usi inteqaam ki hai..

Naksh ko talaash apne tasawwur ki hai..

(XV)

Talaash hai magar talaash ibtida-e-talaash ki hai

Khaaliq-e-talaash hai magar talaash anjaam-e-talaash ki hai

Ise gardish-e-ayyam kahun ya kahun tamasha-e-zindagi

Khwaaish-e-talaash hai magar talaash wajah-e-talaash ki hai

Naksh ko talaash apne tasawwur ki hai..

(XVI)

Na hone pe yakeen hai is kadar

Ke mere hone pe shaq hai khaaliq-e-do jahan ko

Sab kuch hai bas na-maujoodgi ki talaash hai

Naksh ko apne tasawwur ki talaash hai..

In Devanagari Script …

(I)

दरिया-ए-अश्क है, शिद्दत-ए-दर्द की तलाश है

सीरत-ए-मुस्तकीम है, उस नायाब सूरत की तलाश है

सूरत-ए-ग़म ना थी पहले इस कदर लाचार

दर्द है फिर भी वजह की तलाश है

नक्श को अपने तसव्वुर की तलाश है..

(II)

जाम-ए-दर्द है, तिशनगी-ए-मौज की तलाश है

मौज-ए-बहार है, जुस्तजू-ए-मुसर्रत की तलाश है

इसे इत्तेफाक कहूँ या कहूँ तकदीर-ए-उमाम

मैख़ाना-ए-इश्क है फिर भी दीवानगी की तलाश है

नक्श को अपने तसव्वुर की तलाश है..

(III)

मुस्कुराहटें हैं, तकदीर-ए-मुस्तफ़ा की तलाश है

उम्मीद-ए-सहर में, नज़ारा-ए-फिरदौस की तलाश है

इसे छल कहूँ या कहूँ आयत-ए-तखलीक

अदा-ए-बेनिआज़ी है फिर भी हकीकत-ए-ग़म की तलाश है

नक्श को अपने तसव्वुर की तलाश है..

(IV)

फ़लसफ़ा-ए-ज़िन्दगी है, वजह-ए-वजूद की तलाश है

जन्नत-ए-रूहानियत है, गुलिस्तान-ए-दिल की तलाश है

बहार-ए-हुस्न है, ख़ूबसूरती-ए-दिल की तलाश है

सादगी-ए-हस्ती है फिर भी आज़ादी-ए-अफकर की तलाश है

नक्श को अपने तसव्वुर की तलाश है..

(V)

धड़कन-ए-दिल है, मल्किअत-ए-धड़कन की तलाश है

रवानगी-ए-खून है, जसबा-ए-मुहब्बत की तलाश है

मुस्कुराते चहरे को वजह-ए-ग़म की तलाश है

मरहम तो बहुत हैं मगर ज़ख्म-ए-हयात की तलाश है

नक्श को अपने तसव्वुर की तलाश है..

(VI)

तूफानी लहरों में किनारे की तलाश है

बहर-ए-दिल में डूबने वाले की तलाश है

अजब है तखलीक खालिक-ए-अर्ज़-ओ-समा की

हुजूम-ए-दुनिया में भी तनहाइयों की तलाश है

नक्श को अपने तसव्वुर की तलाश है..

(VII)

पैमाना-ए-मस्ती में डूबे हुए कहह्कों की तलाश है

दामन-ए-ज़िन्दगी में छिपी खुशियों की तलाश है

आतिश-ए-गुल से जगमगा उठे ये कहकशां

उसी जलवा-ए-जनाना की तलाश है

नक्श को अपने तसव्वुर की तलाश है..

 

(VIII)

 

सुकून-ए-रूह जिसका ग़म-ए-दिल से

रूह की ख़ुशी दरिया-ए-दर्द में जिसकी

जीने वाले तो बहुत हैं मगर

इस तरह मरने वाले की तलाश है

नक्श को अपने तसव्वुर की तलाश है..

 

(IX)

 

पर्दा-ए-ग़ैब है, मुहब्बत-ए-बेपर्दा की तलाश है

गुज़रे हुए लम्हों में जिए हुए लम्हों की तलाश है

बेदर्द वक़्त है, वक़्त थम जाने की तलाश है

क़त्ल-ए-रूह से पहले, फज़र-ए-मुहब्बत की तलाश है

नक्श को अपने तसव्वुर की तलाश है..

(X)

दरिया-ए-इश्क है, जमाल-ए-यार की तलाश है

सफ़र है, एक हमसफ़र की तलाश है

महफ़िल-ए-सोज़ हो जिस ज़ख्म-ए-दिल से रौशन

उस एहसास-ए-दर्द की तलाश है

नक्श को अपने तसव्वुर की तलाश है..

(XI)

महका है हर ज़र्रा-ए-कायनात जिस फिजा-ए-नूर से

भीगा है हाल-ए-दिल जिस इश्क की बूँद से

समुंदर को उस बूँद की तलाश है

समुंदर खुद बूँद में समाये

ऐसे नामुमकिन मंज़र की तलाश है

नक्श को अपने तसव्वुर की तलाश है..

(XII)

मंजिल है, हसीन सफ़र की तलाश है

सुरीली धुन है, साज़-ए-दिल की तलाश है

रूतबा-ए-ज़िन्दगी बहुत है मगर दिलकश नज़ारों की तलाश है

फरेब-ए-नज़र के उस पार छिपे सच की तलाश है

दो तो पहले भी थे मगर अब एक होने की तलाश है

नक्श को अपने तसव्वुर की तलाश है..

(XIII)

अल्फाज़-ए-एहसास है, एहसास-ए-अल्फाज़ की तलाश है

है अल्फाज़ जाम-ए-एहसास में इस कदर मदहोश

के अल्फाज़ खुद एक एहसास है

दरिया-ए- अल्फाज़-ए-एहसास में

सुकून-ए-दिल हो हासिल जिससे

एहसास में डूबे हुए उस अल्फाज़ की तलाश है

नक्श को अपने तसव्वुर की तलाश है..

 

(XIV)

 

एहसास-ए-धड़कन है, तलाश धड़कन-ए-ख़ुदा की है

अल्फाज़ जो ना कर सकें बयान, तलाश उस रहनुमा की है

हो शुरुआत जिसकी साहिल-ए-समुंदर से, तलाश उस ख़ूबसूरत सफ़र की है

जो ना हुआ मुक़म्मल आज तक, तलाश उसी इंतेक़ाम की है

नक्श को तलाश अपने तसव्वुर की है..

 

(XV)

 

तलाश है मगर तलाश इब्तिदा-ए-तलाश की है

खालिक़-ए-तलाश है मगर तलाश अंजाम-ए-तलाश की है

इसे ग़र्दिश-ए-अय्याम कहूँ या कहूँ तमाशा-ए-ज़िंदगी

ख्वाईश-ए-तलाश है मगर तलाश वजह-ए-तलाश की है

नक्श को तलाश अपने तसव्वुर की है..

 

(XVI)

 

ना होने पे यकीन है इस कदर

के मेरे होने पे शक़ है खालिक़-ए-दो जहान को

सब कुछ है बस नामौजूदगी की तलाश है

नक्श को अपने तसव्वुर की तलाश है..

2 thoughts on “Talaash (तलाश)

  1. Beautiful one….the entire content is awesome but some of my favorites- (And I still doubt the GHALIB factor .. 😛 )

    Dard hai fir bhi wajah ki talaash hai

    Jaam-e-dard hai, tishnagi-e-mauj ki talaash hai

    Maikhana-e-ishq hai fir bhi diwanagi ki talaash hai

    Saadgi-e-hasti hai fir bhi azaadi-e-afkar ki talaash hai

    Marham to bahut hain magar zakhm-e-hayaat ki talaash hai

    Jeene vale to bahut hain magar, Is tarah marne vaale ki talaash hai

    Guzre hue lamho me jiye hue lamho ki talaash hai

    Bedard waqt hai, waqt tham jaane ki talaash hai

    Samandar ko us boond ki talaash hai, Samandar khud boond me samaaye

    Fareb-e-nazar ke us par chipe sach ki talaash hai

    Do to pehle bhi the magar ab ek hone ki talaash hai

    Jo na hua muqammal aaj tak, talaash usi inteqaam ki hai..

    Khaaliq-e-talaash hai magar talaash anjaam-e-talaash ki hai

    Na hone pe yakeen hai is kadar, Ke mere hone pe shaq hai khaaliq-e-do jahan ko

    Sab kuch hai bas na-maujoodgi ki talaash hai..

Leave a comment